Tuesday, December 16, 2008

BAARISH



बारिश की बूँदें कुछ सुनाती हैं,

ये जिंदगी का गीत गाती हैं..

अश्कों को पलकों में नहीं रखते,

ये बरस कर यही बताती हैं !!

--गोपाल के.

Tuesday, November 4, 2008

SEEKH RAHA HU


KHA-KHA KE THOKREin CHALNA SEEKH RAHA HU,
AB MAIn AANDHIYOn ME PALNA SEEKH RAHA HU..
KISI HUMSAFAR KI CHAAHAT, DIL ME NAHI RAHI,
LAMBE SAFAR ME TANHA CHALNA SEEKH RAHA HU..
--GOPAL K.

RAAT NAHI HUYI


ZAMANE GUZAR GAYE TUMSE BAAT NAHI HUYI,
KHWABO ME BHI TUMSE MULAQAT NAHI HUYI..
KHWAB TO AATE TAB, JAB NEEND AATI MUZKO,
KAAFI WAQT SE MERI ZINDGI ME RAAT NAHI HUYI..!!

--GOPAL K.

Wednesday, October 29, 2008

AASAAN NAHI HOTA


PYAR KARNA AASAAN NAHI HOTA,
HAR KOI DIL KI JAAN NAHI HOTA..
KISI KI MUTTHI ME HAI DUNIYA SARI,
KISI KE SIR PAR MAKAAN NAHI HOTA..
JARURI NAHI WO BHI SUN LE BAAT TERI,
HAR SHAKHS TO BEJUBAAN NAHI HOTA..
MERE LIYE TO TU HI HAI MERA JAHAAN,
AUR TU HAI KI MERA JAHAAN NAHI HOTA..
MERE HI GHAR SE HAI SHAYAD BERUKHI ISKO,
WARNA YE UJALA KAHAAN KAHAAN NAHI HOTA..
DOST MILTE TO HAIN RAAH ME BAHUT SE MAGAR,
CHALTA HU TANHA HI KOI KAARWAAN NAHI HOTA..
HAR EK KI JARURAT PAR SATH DIYA HUMNE MAGAR,
JARURAT PADTI HAI HUME TO KOI YAHAAN NAHI HOTA..
MUJHE US ZINDGI KI TALAASH HAI AYE MERE KHUDA,
JAHAA HAR GHADI KOI NAYA IMTEHAAN NAHI HOTA..
--GOPAL K.

Tuesday, October 28, 2008

MAI SHAYAR TO NAHI


TUMNE KEECHAD ME FEKA HUME AUR HUM KAMAL BAN GAYE,
TERI YADO KI TANHAIYAAN MERE FURSAT KE PAL BAN GAYE..
MUJHE SACH ME LIKHNA NAHI AATA, MAI SHAYAR TO NAHI PAR,
DIL SE NIKLE TERI YADO KE LAFZ AUR WO MERI GAZAL BAN GAYE..
--GOPAL K.

Thursday, October 23, 2008

SHAYAD




MUJHE PATA HAI,
MERA HAR GHADI HAR PAL
TUMHE SOCHNA BURA LAGTA HAI,
TUMHE YAAD KARNA,
TUMHARI BAATE KARNA
AB TUMHE BURA LAGTA HAI..
PAR MAI KYA KARU?
PYAR KIYA HAI MAINE,
KAISE BADAL LU KHUD KO TERI TARAH?
MAINE KOI MUKHAUTA TO NAHI LAGAYA THA NA..
JO UTAAR FEKU TUMHARI TARAH?
MERA TO ASLI CHEHRA YAHI THA
AUR YAHI RAHEGA..
MAI KHUD KO AUR IS PAGAL DIL KO
KAISE BADAL DU?
BE-INTEHAA PYAR KA NATEEJA
KYA YAHI HOTA HAI?
KYA PYAR JYADA HO
TO NAFRAT ME BADAL JATA HAI?
TUM HI TO AB KAHTI HO MUJHSE
KI JYADA MEETHA HONE PAR
CHEETIYAA LAG JAYA KARTI HAIn,
TO KYA TUMHARA PYAR AB CHEETI BAN GAYA HAI?
JO AB TA-UMAR CHUBHAN DETA RAHEGA MUJHE?
MAINE KYA GALAT KIYA TUMSE JYADA PYAR KAR KE?
MUJHE PYAR KI LAKSHAMAN REKHA KA PATA NA THA,
TUMHARI TARAH MUJHE PYAR KARNE KA DHANG BHI NAHI,
AUR SHAYAD MERE PYAR KA CHATAKH RANG BHI NAHI..
TUM MUJHSE DOOR JA KAR RAH SAKTI HO,
PAR MAI TERI YAADO KE BINA KAISE RAHU?
TUM NAHI HO TO TUMHARI YAADE HI SAHI..
KOI TO HAI WAFA NIBHANE KE LIYE,
SAB TERI TARAH TO NAHI HOTE NA?
BEECH SAFAR ME SATH CHHOD JANE KE LIYE..!!
TUMHE PYAR SE CHUBHAN HOTI HAI
AUR MUJHE
IN YAADO KE CHUBHAN SE PYAR HAI..
SHAYAD ISI KO TAQDEER KAHTE HAIN,
SHAYAD ISI KA NAAM SANSAAR HAI..!!
--GOPAL K.[:)]

Wednesday, October 22, 2008

MAANGTA HU

HOTHOn PAR TERI MAIn MUSKAAN MAANGTA HUn,
BAS YAHI MAIn TUJHSE AYE MERI JAAN MAANGTA HUn..

SABKE LIYE HUn MAI ABHI AJNABI TO KYA HUA?
TERE DIL ME KUCHH ALAG SI PEHCHAAN MAANGTA HUn..

TUJHSE AUR KOI WADA LENE KI CHAAH NAHI HAI MUJHE ,
TA-UMAR SATH RAHNE KI TUJHSE JUBAAN MAANGTA HUn..

AB TAK NAHI HAI SIR PAR MERE KISI KE PYAAR KA SAYA,
TERI MOHABBAT KA CHHOTA SA AASMAAN MAANGTA HUn..

--GOPAL K.

ARMAAN DHER SARE


EK CHHOTA SA DIL AUR ARMAAN DHER SARE,
HOTE HAIN SABKE DUSHMAN-E-JAAN DHER SARE..

YE WO PADHAAYI HAI JO KABHI KHATAM NAHI HOTI,
ZINDGI LETI RAHTI HAI IMTEHAAN DHER SARE..
--GOPAL K.

AANCHAL NAHI MILTA


DIL KO SUKUN MILE KABHI WO PAL NAHI MILTA,
KABHI LAUT KAR HUME BEETA HUA KAL NAHI MILTA..

ZINDGI KI RAAH ME BAHUT TEZ DHOOP HAI DOST,
FIR BHI KISI KE PYAAR KA AANCHAL NAHI MILTA..

--GOPAL K.

AYE DARD

AYE DARD, TU ZARA DARD KA EHSAAS KAM DIYA KAR,
GAM KA KUCHH ASAR HI NA RAHE TU ITNA NA GAM DIYA KAR..

ASHQ PEEKAR HI NA PYAASE KI PYAAS MAR JAYE KAHEEN,
KISI KI NAZRON KO TU ITNA BHI NA NAM KIYA KAR..!!
--GOPAL K.

TERI YAAD


TERI YAAD KO DIL SE BHULAYEin TO KIS TARAH?
TERI YAADOn ME AANA CHAHEin TO AAYEin KIS TARAH?
TUM ROOTH KAR GAYE TO DEKHA NA PALAT KAR..
AB HUM AAKHIR TUMKO MANAAYEin TO KIS TARAH??

--GOPAL K.

DIL


DIL PAR JAB BHI HUMNE AITBAAR KIYA,
DIL NE BADLE ME BAS HUME INTEZAR DIYA..
DIL KO TO PATA BHI NA CHALA HOGA YE,
KI DIL KE KAHNE PAR HUMNE US SE PYAR KIYA..!!
--GOPAL K.

BADAL GAYE??


RASTE WAHI HAIn, MANZILEin WAHI HAIn,
BAS HUMSAFAR BADAL GAYE,

HUM TO KHUD KO BADAL NA SAKE,
HAAn WO MAGAR BADAL GAYE॥

ZAMAANE KE FASHION ME HUM HI,
DHAAL SAKE NA AB TAK KHUD KO,

TUMSE HUM KARE KYA SHIKWA GILAA?
JO TUM AGAR BADAL GAYE??

--GOPAL K.

TERI JUDAAYI SE DARTE HAIN..

HUM KHUDA KI KHUDAAYI SE DARTE HAIN,
ZAMAANE KI RUSWAAYI SE DARTE HAIN...

TUMHE PAYA TO NAHI HAI MAGAR FIR BHI,
HUM KYUn TERI JUDAAYI SE DARTE HAIN..

--GOPAL K.

Saturday, October 18, 2008

KYA LIKHU?


KYA LIKHU? KALAM HAI SYAAHI NAHI RAHI,
AB MERI GAZALOn ME WO WAH WAHI NAHI RAHI.

RUK JATI HAI CHAL-CHAL KE KALAM MERI,
AB TO YE BHI MERI HUMRAAHI NAHI RAHI..!!

-GOPAL K.

Saturday, September 13, 2008

हम मुस्कुराते रहे

हर गम सहकर जो हम मुस्कुराते रहे ।
वो और भी जुल्म हम पर ढाते रहे ।।

उनके लिए तो मै कुछ भी न था ,
हम ही एकतरफा रिश्ता निभाते रहे ॥

घर पर मेरे कोई आता न था ,
बस गम ही थे जो कि आते रहे ॥

भूल जाता हू मै भूल जाना उसे ,
याद आया वही जो भुलाते रहे॥

एक मेरे साथ कुछ उम्मीद जागती रही ,
अपने गम और तन्हाई को हम सुलाते रहे ॥

--गोपाल के.

Thursday, September 11, 2008

WAJAH

AGAR JUDA-JUDA HUM SABKA NAAM NA HOTA,
TO LADAAYI ZAGDE KA YAHA KOI KAAM NA HOTA

KUCHH TO WAJAH HAI KABHI GAUR KARNA YARO,
WARNA DIWALI ME ALI AUR
RAMJAAN ME RAM NA HOTA

--GOPAL K.

Saturday, September 6, 2008

मत भूलो

दर्द में मुस्कुराना मत भूलो,
अपना गुज़रा ज़माना मत भूलो।

बना सको तो बना लो रिश्ते नए,
दोस्त कोई पुराना मत भूलो।

कर दो नाराज गर किसी को कभी,
फ़िर तुम उसको मनाना मत भूलो।

घूमते फिरते रहो तुम बाहर,
खाना पर घर का खाना मत भूलो।

भूल जाओ पुरानी बातों को,
दिल से दिल का लगाना मत भूलो।

प्यार से बच्चे सच कह देते हैं,
बनाते थे तुम भी बहाना मत भूलो।

तुम उठा चुके हो गम बिछड़ने का,
बिछडों को तुम मिलाना मत भूलो।

गोपाल के.

Friday, August 29, 2008

शून्य होते हम


शून्य
यही दिया था ना भारत ने विश्व को?
फिर आज खुद शून्य क्यूँ हो रहा है खुद?

एक --

संवेदनाओं में शून्य..
अब नहीं दिखती किसी की तकलीफ?
या सड़क पर दुर्घटना का शिकार हुए
व्यक्ति को देखने में
तुम्हे रोमांच आने लगा है?
ये देखना चाहते हो-
कि मेरे सामने कोई कैसे मरता है?
तड़प-तड़प कर..
और कुछ महानुभाव तो
बहुत ही परम हो गये हैं
चैन, मोबाइल, घडी और पैसे ले कर भी
नहीं सुनते उसकी विनती..
ना समझ सकते हैं उसके दर्द को..
लूट कर चल देते हैं
अपने घरवालो को खुशिया देने..
क्या इतनी भीड़ में
एक आदमी भी खून से लथपथ पड़े
उस व्यक्ति को अस्पताल नहीं पंहुचा सकता?
क्या मै भी नहीं?
क्या तुम भी नहीं?

दो--

शून्य हो चुके हैं रिश्ते
क्या माँ-बाप?
क्या भाई बहन?
सब यार हो गये..
और यार रिश्तेदार हो गये..
मामा-मामी, चाचा-चाची..
सब अंकल आंटी बन गये
और उनके बच्चे
कजिन बन गये
सारे रिश्ते
एक ही नाम में सिमटने लगे..
अपनापन खोजते तो हैं हम
पर किसी को अपना कर
अपना बना कर देखा है कभी?
प्यार सब पाना चाहते हैं
प्यार लुटा कर देखा है कभी?
ये वो दौलत है
जो लुटा कर और भी
दौलत मंद हो जाता है..
ज्ञान कि तरह..
पर ज्ञान भी तो शुन्य हो गया है..
अमेरिका में बैठी दोस्त
क्या कर रही है वो पता है
पर पड़ोस में कौन रहता है
ये नहीं पता॥

तीन --

खुशियों में शून्य
झूठी हँसी हँसने लगे
और जो हँसता दिखा
उसको ऐसी बात बोल दी
कि उसका भी चेहरा अपने जैसा
मनहूस बना दिया..
खुद तो हँस सकते नहीं
दूसरे की ख़ुशी भी नहीं देख सकते।

चार --

संतुष्टि में शुन्य
अब संतोषी माँ की कृपा
शायद लोगो में कम हो गयी है
या वो हम सब से रूठ गयी हैं..
किसी को संतोष ही नहीं
और पहले?
३०० रूपये में पूरा परिवार
ख़ुशी से चलता था
आज?
३०,००० भी कम पड़ रहा है..
पहले इच्छाएँ कम थी,
अब संतुष्टि कम हो गयी..
संस्कृति से शून्य
अब किसी की फोटो से
अगर उसका चेहरा हटा दिया जाये
तो कोई बता ही नहीं सकता
कि ये फोटो किस देश के
व्यक्ति की है..
सब इंटरनेशनल हो चले हैं,
पर खुद की पहचान खो कर..
हम सभी शून्य से ही हैं
और शून्य होने की तरफ
हम कदम बढाये जा रहे हैं.

--गोपाल के.

किसका इंतजार ?


कितना खाली लगता है
ये दिल कभी-कभी,
बिलकुल खोखला सा..
किसी सूखे दीमक लगे पेड़ के
खोखले तने की तरह..
बिलकुल खाली सा
इतना कमजोर
कि तेज हवा के झोंके से भी
टूट कर गिर पड़े,
और इतना गहरा सन्नाटा
जैसे गहरे कुंए में
पानी की परछाई में
सिर्फ अपनी ही तस्वीर
जैसे चाँद से झांकता कोई
दिल के वीरानेपन को
देखने की कोशिश कर रहा हो
पर दूर से
बहुत दूर से..
पास आने से डरता होगा
वो भी
खुशियों की तरह
या शायद
बेपरवाह हो.
कुछ भी हो..
मुझे क्या?
मै तो तब भी तन्हा था
तन्हा दिल लिए
अब भी तन्हा ही रहूँगा
कौन आएगा दूर करने इसको?
अब तो रात हो चली है,
अपना साया तक साथ छोड़ चला,
तो अब क्या उम्मीद
और किसका इंतज़ार?

--गोपाल के.

Tuesday, August 26, 2008

कोई शिकवा नही

क्या मिल जाता है किसी को रुलाने से?
क्यूँ खुश हैं वो मेरा दिल दुखाने से?

बस खुद से ही गिला है मुझको,
कोई शिकवा नहीं इस जमाने से॥

बिगड़ जाये तो उसको बना लीजिये,
बात बनती है बस बनाने से॥

मै हर गम हँसकर सह लूँगा उनके,
वो खुश हैं गर मुझे सताने से॥

नजर अपनी ही ओर पाई है,
देखता हूँ जब उन्हें बहाने से॥

रूठने का फिर मजा ही क्या?
मान जाये कोई जो मनाने से॥

दिल गमजदा हो गया खोकर किसी को,
तो खुश हो गया किसी को पाने से॥


--गोपाल के.

Friday, August 15, 2008

मुझमे आग भर दो..

हे ईश्वर

मुझमे तू आग भर दे

या तो मै खुद जल जाऊँ

या जला कर ख़ाक कर दूँ

अपनी इस चुप्पी को

जो इतना सब कुछ सुनकर भी

अब तक खामोश है,

या अपनी इन नज़रों को,

जो सब कुछ देख कर भी

कहीं और मदहोश है..

या अपनी इस कलम को,


जिसने अपनी धार खो दी है..

या अपनी इस स्याही को,

जो अब मंहगाई पर रो दी है?

करने वाले के लिए कुछ भी नहीं मुश्किल,

और हम जैसों के लिए जाने कितनी बाधाएं

कितनी ही दिक्कतें और

कितनी मजबूरियां

सब हमारे लिए ही रास्ता रोके खड़ी हैं,

सोचता हूँ

क्या गाँधी, नेहरु, सुभाष,

खुदीराम या भगत सिंह

इन सब के पास कोई काम नहीं था

या इन्होने अपनी हर मज़बूरी,

हर बाधा, हर इच्छा का

हवन कर दिया था?

क्या इन्हें डर नहीं था मरने का?

या इनकी माताएं बेफिक्र थी

इनके फांसी पर झूल जाने पर भी?

कुछ नहीं,

बस वक़्त का फेर है,

तब इन माँओं के लिए पूरा देश बेटा था

आज के बेटे के लिए अपनी माँ ही गैर है..

जब उसके लिए माँ ही कुछ नहीं तो कैसी मिट्टी

कैसी मात्रभूमि?

और क्या माटी का कर्ज?

अब देश से ज्यादा

ईमान से ज्यादा

माँ से ज्यादा

पैसा जो हो गया है..

आखिर मंहगाई जो इतनी बढ़ गयी है..!

घर पहले,

देश के बारे में सोचने को तो

सौ करोड़ लोग हैं ही॥


यही सोच रहे हो क्या?

--गोपाल के.

Wednesday, August 13, 2008

NAAM HAI TERA

DIL KI DHADKANO ME NAAM HAI TERA,
BAS TUJHE CHAAHNA HI KAAM HAI MERA..!
MUJHE AUR KUCHH BHI NAHI CHAHIYE,

TERI WAFAA HI INAAM HAI MERA॥!!

--GOPAL K.

Tuesday, August 5, 2008

AAJ KE INSAAN


BHOOKHE NANGE KI ROTI CHHINAANE LAGE,

AAJ KE INSAAn BHI KYA-KYA KHAANE LAGE?


AAJ HUM APNA WO HI SABAK HAIn BHOOLE,

SEEKHNE ME JISE THE ZAMAANE LAGE..!!


SOCHTE HAIn KI ISKO AB KAISE THAGEin?

GHAR ME BHAI GAR KOI KAMAANE LAGE,,!!


THAKK KE SOYA AGAR DO PAL KO KABHI,

KHWAAB HI MERE MUJHKO JAGAANE LAGE..!!


ZAMAANE ME SAB KUCHH RAHA HAI BADAL,

KUCHH CHHUPAANE LAGE, SAB DIKHAANE LAGE..!!


DUSHMANOn NE BHI TAAREEF TAB KI MERI,

JAB HUM RUKHSAT HUYE AUR JAANE LAGE..!!

--GOPAL K.

MATLAB

AB KUCHH BOLO TUM MAT LAB SE,

TUM YAAR BANE HO MATLAB SE..!!


TUMNE HI AB JA KE PADHAA,

LIKH TO RAHA THA MAI KAB SE..!!


TUJHKO “WAISE” HI LOG MILE,

“WAISA” HUA HAI TU JAB SE..!!


LADTE DEKHA TO MAIn SOCH PADA,

WO SEEKHA KYA THA MAJHAB SE..?


MERI BAATEin GAR BURI LAGI,

TO CHUP HI RAHUNGA MAI AB SE..!!


BHATKE LOGOn KO RAAH DIKHA,

BAS YAHI GUJARISH HAI RAB SE..!!


--GOPAL K.

PALNE LAGE


KHWAAB CHHOTE THE NIGAAHOn ME PALNE LAGE,
MANZIL DOOR THI FIR BHI HUM CHALNE LAGE..!!

EHSAAS MERE DARD KA UNKO TAB JAKAR HUA,
ASHQ MERI AANKHOn SE JAB BAAHAR NIKALNE LAGE..!!

WO KHAAK HO GAYE KUCHH BHI BAN-NE SE PAHLE,
DEKH KAR AUROn KO JO BHI THE JALNE LAGE..!!

TOOT-TA HAI AAKHIR EK DIN AISA DIL AKSAR YAHAAn,
KISI KI IK MUSKAAN PAR HI JO FISALNE LAGE..!!

HAATH DEKAR USE BHI UTHA LENA TUM,
GIRKAR BHI AGAR KOI JO SAMBHALNE LAGE..!!

DARD BHARKAR LIKH DE, “GOPAL” TU AISI GAZAL,
SUNKE JISE PATTHAR KA DIL BHI PIGHALNE LAGE..!!


--GOPAL K.

Sunday, August 3, 2008

HASEEn NIGAAHEin


KAYI BAAR MIL CHUKI HAIn YE HASEEn-HASEEn NIGAAHEin,
FIR BHI DIL DHADAK UTHTA HAI, BHARTAA HAI YE AAHEin..!!

YA TO TUM HASEEN NA HOTI, YA MAIn JAWAAn NA HOTA,
TUMHI BATAA DO MUJHKO, HUM KYUn NA TUMKO CHAAHEiN..!!

AB TO AA JAO SANAM, BAHUT HO CHUKA YE INTEAZAAR,
PUKAARTE HAIn TUMHE KAB SE, FAILA KAR APNI BAAHEiN..!!

KHUSHI HI KHUSHI MILI, HUMSAFAR TUM JO BAN GAYE,
MANZIL EK HO GAYI HAI, EK HO GAYI HAI APNI RAAHEin..!!
--GOPAL K.

Friday, August 1, 2008

HUMSAFAR THA KABHI

WO MERA RAHGUZAR HI AAJ AJNABI BAN GAYA,
JO SAFAR ME MERA HUMSAFAR THA KABHI..!!

AAJ BE-ASAR HAIn MERI BAATEin USKE LIYE,
ANKAHEE BAATOn KA BHI USPAR ASAR THA KABHI..!!

AB SHAAM DHALTE HI NEEND AA JATI HAI USE,
JAAGTA SATH MERE JO RAAT BHAR THA KABHI..!!

AB JHOOTH BHI BOLTA HAI WO SACH KI TARAH,
KHUDA KA USKE DIL ME BHI DARR THA KABHI..!!

DARNE LAGA HAI AB WO APNE HI SAAYE SE,
SHER SA MAJBOOT USKA JIGAR THA KABHI..!!

IS TARAH NAFRAT SE TO WO NAZAR NA FERTA?
MERE LIYE USKE DIL ME KUCHH AGAR THA KABHI..!!

--GOPAL K.

Thursday, July 31, 2008

MERI BHI HAI


PYAR KE IS SAAGAR ME YAAROn,
IK KASHTI MERI BHI HAI,

WAFAA KI CHHOTI SI DUNIYA ME,
IK BASTI MERI BHI HAI..!!


EK CHHOTA SA SAPNA BHI HAI,
KI SABSE MAIn YE KEH SAKUn,

INN LAAKHOn LOGOn KI BHEED ME,
IK HASTI MERI BHI HAI..!!


BAADAL, BAARISH, TIP-TIP BOONDEin,
TAAJGI BHAR DETI HAI DIL ME,

KUCHH TO MAUSAM MAST HUA AUR,
THODI MASTI MERI BHI HAI..!!


DIL TERA BECHAIN HAI,
YE JAANTA HUn MAIn SANAM,

TERE DEEDAR KI KHATIR,
NIGAAHEin TARASTI MERI BHI HAI..!!


--GOPAL K.

JAAN-E-JANA

NA KABHI MILE NA DEKHA NA JANA,
FIR BHI BAN GAYI TUM MERI JAAN-E-JANA..!!

KHAYAALOn ME TERI TASVEER BANA KAR,
TUMKO TUMHI SE WO MERA CHURAANA..!!

SUBAH UTHKAR BAS TUMHE YAAD KARNA,
TERA NAAM LEKAR WO KHUD KO SULANA..!!

TERI BAATOn KO YAAD KARTE HUYE,
BINA BAAT KE HI MERA MUSKURANA..!!

JAB TAK NA BHEJO TUM KOI NAYA,
TAB TAK KHAT PADHNA TERA PURANA..!!

HAALAT HUYI HAI MERI JIS TARAH,
KYA TUM BHI HO WAISI ? MUJHE TUM BATANA..!!

MUJHE AB KISI KI BHI PARWAAH NAHI,
JO KEHTA HAI KEHTA RAHE YA ZAMAANA..!!

HAAn TERA ISHQ MERE SIR PE CHADHA HAI,
TU PAAGAL KAHE YA BOLE DEEWANA..!!


--GOPAL K.

ITTEFAQ


YE ZINDGI EK HASEEN ITTEFAQ HAI,
KOI BICHHAD GAYA TO KOI MIL GAYA..!!

KAHIn SATH REH KE BHI NA BAN SAKE,
KAHIn DEKHTE HI YE DIL GAYA..!!

JO NA BAAJUOn SE HIL SAKA,
WO IK NAZAR SE HI HIL GAYA..!!

YE CHEHRA UDAAS THA SUBAH SE,
DEKHA TUJHE TO YE KHIL GAYA..!!
--GOPAL K.

SAUGAAT


KABHI BICHHDE TO KABHI MULAQAT HAI,
KABHI RANGEEN SHAM, KABHI GAM KI RAAT HAI..!!

WAQT PAR SATH NAHI DETA YE WAQT BHI,
WAQT KI LAGTI BURI BAS YAHI BAAT HAI..!!

BAS ISI BAAT SE MAIn PARESHAAN HUN,
SAMAJHTAA NAHI KYOn WO JAZBAAT HAI..?

JO USNE DIYA HAI TO CHHEENEGA KAUN?
HAR SAANS KHUDA KI HI SAUGAAT HAI..!!

BURE KAAM SE AB TO KAR LE TU TAUBA,
WARNA IK DIN HONI TERI MAAT HAI..!!
--GOPAL K.

MAUT SE MAANGI THI HUMNE


MAUT SE MAANGI THI HUMNE ZINDGI KUCHH PAL KI,
WAQT BURA THA MERA JO, WO MUSKURA KE CHAL DI..!!


JO HONA HAI WO HOGA HI, IN LAMHOn KO TO JEE LO,
JINHE AAJ KI KHABAR NAHI, KHABAR KYA HOGI KAL KI ?


MAUT KI AAGOSH ME JAB SIR RAKH KE SOYE HUM,
YAAD BAHUT AAYI HUME TAB MAA KE AANCHAL KI..!!


SAPNE PURE KARNE KO, KAM PADD GAYI YE ZINDGI,
AHMIYAT PATAA CHALI AB HUME, JEEWAN KE HAR PAL KI..!!

--GOPAL K.

AITBAAR NAHI HOTA


TUJHE MERE PYAR PAR KYUn AITBAAR NAHI HOTA ?
HAR WAQT TO MOHABBAT KA IZHAAR NAHI HOTA..!!

MOHABBAT DIL ME HAI, NAZROn SE ISE DEKHO KABHI,
SIRF JUBAAn SE HI KAHNE SE TO, ISHQ KA IQRAAR NAHI HOTA..!!

KOI AUR TUMHARE LIYE PURE DIN INTEZAR KARE TO KUCH NAHI ?
AUR TUMSE EK PAL KO BHI MERA INTEZAAR NAHI HOTA..??

KUCHH MAJBURIYAAn BHI HOTI HAIn, HAR IK INSAAN KI,
AISA TO NAHI HAI KI MAIn BHI BEQARAAR NAHI HOTA..!!

KOI ROOTH GAYA HO GAR TO , MANAANA BHI PADTA HAI USE,
SIRF ROOTH KAR BAITH JANE SE HI TO PYAR NAHI HOTA..!!

--GOPAL K.

Tuesday, July 29, 2008

KISSE


HUME NA YAAD DILAO UNKI BEWAFAYI KE KISSE,
HUMNE BAHUT MUSHKIL SE UNKO BHULAYA HAI..!

ZARA AAHISTA BOLO TUM CHILLA KYOn RAHE HO?
ABHI-ABHI TO HUMNE APNE DARD KO SULAYA HAI!!

ROOTH GAYI THI SHAYAD HUMSE, MILNE NAHI AATI KABHI,
HUMNE FIR SE KHUSHIYOn KO, APNE GHAR PE BULAYA HAI!

EK KO MANAATA HU TO, DUSRAA ROOTH JATA HAI FIR SE,
SAB MAAN GAYE TO WAQT KO DEKHO, KAISE MUH FULAYA HAI!!

--GOPAL K.

MARNE SE PAHLE

MARNE SE PAHLE KARNE KAI KAAM BAAKI HAIn,
KAATNE KO ABHI TANHA KAI SHAAM BAAKI HAIn॥!


TUM TO PAHUCHNE KO HO MANZIL KE PAAS AB TO,
SAFAR HAI LAMBA MERA, RASTA TAMAAM BAAKI HAI॥!


MAA-BAAP, BHAI-BAHEN, KITNI HASRAT PAALE BAITHE HAIn,
IN SABKE LIYE KARNA ABHI MUJHE INTEZAAM BAAKI HAI॥!


MERE PYAR KE BADLE JO TUM MUJHPAR THE LAGA GAYE,
MAATHE SE HATAANA ABHI WO SARE ILZAAM BAAKI HAI॥!


DEKHE THE KITNE SAPNE, HASRATEin THI KITNI DIL MEin,
REH GAYA HAI DENA TUJHE IK PAIGAAM BAAKI HAI॥!


PEEKAR JISE BHULA DU, TERE DIYE HUYE GAM SAARE,
AB HAATHOn SE PEENA TERE WO JAAM BAAKI HAI॥!!



--GOPAL K.

HISAAB

TUJHE BHULATE-BHULATE WAQT NA LAGA,
WAQT LAG GAYA BAS ZAKHM BHARNE ME॥!

HISAAB LAGA RAHA HU AB, WAQT KITNA HUA JAAYA,
HUME ROOTHNE MANAANE ME, AAPAS ME JHAGADNE ME॥!

JO MAUJOn KO CHEER KAR PAAR PAHUCHTE THE,
DARTE HAIn AB WO HI, SAHIL PAR UTARNE ME॥!!

LIKHNE ME IK GAZAL PURA DIN GUJAR GAYA,
AUR TUMHE WAQT LAGA HI KITNA ISKO PADHNE ME॥?

--GOPAL K.

JAAYA= BARBAAD
MAUJOn= PANI KI LEHEROn
SAHIL= KINAARA

BEKHABAR

KHABAR HI NA LAGI HUME US BEKHABAR KI,
TALAASH THI HUME SAFAR ME JIS HUMSAFAR KI॥!

SAFAR ME KUCCH AISE BHI DOST MILE HAIn JINHE,
DUNIYA KI KHABAR HAI SARI, PAR KHABAR NAHI GHAR KI॥!

KHUD TO WO BADHTE NAHI, ROKTE HAIn UNHE,
AAGE BADHNE KI PEHEL, KISI NE AGAR KI॥!

AB TAK YAKEEN NA KAR SAKA MAIn USKE JANE KA,
NA USNE ALVIDA KAHA, NA HI KOI KHABAR KI॥!!

--GOPAL K.

Monday, July 28, 2008

NAAM


NAAM AGAR PUCHHE JO KOI MERA,
TUM APNA NAAM BATA DENA,
BAS PYAR HI PYAR MAI KARTA HU,
YE MERA KAAM BATA DENA॥
HAI KISKA HAATH MERE SIR PE TO,
ALLAH YA RAAM BATA DENA,
MILKAR RAHO AAPAS ME SABHI,
YE MERA PAIGAAM BATA DENA॥
--GOPAL

SAZAA


SAZAA KIS BAAT KI AAKHIR MILI HUMKO?
KYUn TUM IS TARAH HUMSE JUDA HO GAYE?
ITNI MINNATOn KE BAAD BHI NA AAO NAZAR,
AISA LAGTA HAI TUM JAISE KHUDA HO GAYE??
--GOPAL क.

Sunday, July 27, 2008

इंतज़ार एक नए विस्फोट का


क्या होगा?
इस विस्फोट के बाद?
सन्नाटा..
फिर से इंतजार
एक नए विस्फोट का..
मुझे भी इन्तेज़ार है..
बहुत ही बेसब्री से
उस विस्फोट का..
जब हर घर से निकलेंगे
भगत सिंह,
राजगुरु और
सुखदेव
तब
हर भगत सिंह की चाहत
रखने वाला

ये नहीं सोचेगा कि
भगत सिंह फिर से पैदा तो हो,
मगर हमारे नहीं
पडोसी के घर मे..
जब हर माँ
अपनी कोख में
एक भगत सिंह का सपना देखेगी
हर बाप
बेटे को भेजेगा
शहीद होने के लिए
मुस्कुराकर,
विजयी तिलक और
गले लगा कर..
और हर भारतवासी
समझेगा अपने दायित्व को
तब
तब शायद इन आतंकियों के हौसले
हमारे आगे पस्त पड़ जाएँ
तब
तब शायद सारे भेड़
एक साथ मिल कर
इस भेडिये से लड़ जाएँ
तब
एक अकेला चना
भाड़ भले ही ना फोड़ पाए
पार शायद हम-में से एक
सिर्फ एक
माचिस की एक ही तीली
आतंक को ख़ाक कर दे..
और
हम सबकी बुजदिली को
जला कर राख कर दे॥!!




--गोपाल के.

BEKHABAR

MERA AKS AAJ BHI MUJHSE HAI BEKHABAR,
MUJHKO PATA CHALE TO ISKO BHI DU KHABAR॥!

RAAH TO DIKHTI NAHI, MANZIL HAI GUMSHUDA,
CHAL RAHA HU FIR BHI, ANDHAA HAI YE SAFAR॥!

YE ZINDGI BIN TERE, KITNI BADAL GAYI HAI,
EK NAZAR HUM PAR BHI DAAL, TU DEKH TO IDHAR॥!

YUn HAR ROJ MAUT KO, IS TARAH TO NA JEETA,
MAR JATA EK BAAR HI, GAR DE JATE TUM ZAHAR॥!!

--GOPAL K.

Saturday, July 19, 2008

Majboor na hote


Agar hum bhi teri tarah Majboor na hote,

Khuda Qasam hum bhi Tumse Door na hote..


Wo to tere ISHQ me hum Badnaam ho gaye,

Warna tere shahar me MashHoor na hote..


Gar Khwaab dekhne ki muze Aadat hi na hoti,

To ye Khwaab mere dil ke Choor-Choor na hote..


Patthar Taraash kar jab tumhe Heera sa kar diya,

Paakar Be-intehaa Mohabbat tum Magroor na hote..


Anjaam Mere ISHQ ka, ye to hargiz nahi hota?

Tum sabki aankhon ke NOOR, hum Be-Noor na hote..!!


--GOPAL K.

Friday, July 18, 2008

BARSAAT HO GAYI


AAJ MAUSAM NE RUKH BADLA HAI DEKHTE-DEKHTE,
WO AAYE GHAR HUMARE AUR BARSAAT HO GAYI.

EK PAL BHI RUKNE SE WO INKAAR KARTE THE,
AAJ MERE SATH UNKI PURI RAAT HO GAYI.

TIP-TIP BARASTI BOONDO KO ZAROKHE SE DEKHTE,
NAZRE MILI HUM DONO KI AUR BAAT HO GAYI.

IK RUKH BADALNE BHAR SE BADAL GAYI DUNIYA MERI,
UNKA IQRAR ISS MAUSAM KI SAUGAAT HO GAYI.

-GOPAL K.

AITBAAR


UMAR KE HAR DARAKHT PE TERA INTEZAAR KIYA THA,
MAINE INTEHA KI HADD TAK TUJHSE PYAR KIYA THA॥
AAKHIR KYON TOD DALA TUNE MERA DIL ZAALIM?
JAHAAN ME IK TUJHPAR HI TO MAINE AITBAAR KIYA THA॥
--GOPAL K.

YAAD HAI

WO DIN AAJ BHI YAAD HAI MUJHE,
JAB TERI ZULFOn KA SAAYA LEHRATA THA॥

SILWATEin MIT JATI THI MATHE KI MERI,
HATH TERA JAB MERE BAALOn PE AATA THA॥

TERI GODI ME RAKHE-RAKHE WO SIR APNA,
MERA WAQT KIS TARAH GUZAR JATA THA॥

YAAD HAI AB BHI WO HAR LAMHA MUJHE,
JAB MAI HASTA THA, JAB MAI MUSKURATA THA॥

--GOPAL K.

Wednesday, July 16, 2008

नही आते



Palke chamak uthi hain neend me hamari,
aankho ko abhi khwab chhupane nahi aate॥

ye na samajhna ki tumhe bhool gaye hum,
bas baat shuru karne ke bahaane nahi aate॥

Aa to jati hai Qadmo me saari duniya magar,
Laut kar kabhi fir se guzre jamaane nahi aate॥

Mehfil me sabhi sochte hain ki ise gam nahi koi,
Hum pee jate hain AshQ kisi ko dikhaane nahi aate॥

Jo Dil me hai mere wahi baat Jubaan par hogi,
Hume bayaan karne bas ye Fasaane nahi aate॥

Dekho na kitne log aaye hain meri Qabr par,
Aate hain sabhi DOST, kuch wo puraane nahi aate॥

--GOPAL K.

Tuesday, July 15, 2008

AADAT


DIL ME ARMAAN TO BAHUT THE MAGAR।

BAN SAKE NA HUM TERE HUMSAFAR॥


TUMHE AADAT THI MAHLOn ME RAHNE KI,

ACHHA KYUn LAGTA MERA YE CHHOTA SA GHAR॥??


--GOPAL K.

INTEZAAR



AB TERE INTEZAAR KI AADAT SI HO GAYI HAI,
LAGTA HAI MUJHE TERI CHAAHAT SI HO GAYI HAI॥
DIL KE MANDIR ME AB TO BITHAA LIYA TUJHKO,

TERI CHAAHAT MERE LIYE IBAADAT SI HO GAYI HAI॥!!


--GOPAL K

Saturday, July 12, 2008

कहाँ खो गए?


वो राही नयी मंजिलों के,
कहाँ खो गए?
जो हमसफ़र थे,
वो बेवफा क्यों हो गए?

ढूंढता हूँ उनको,
आज तक मैं दर-ब-दर,
पता नहीं चला अब तक,
वो कहाँ को गए?

दिल में बस उनका ख्याल,
नींद आये क्यों मुझे?
मैं जागता हूँ रात भर,
वो तो होंगे सो गए॥!

दिल का हाल सुनाएँ किसे,
किसको रुला दें फिर से हम?
आये थे पोंछने जो आंसू,
साथ मेरे वो रो गए॥!!

--गोपाल के।
.
Wo Raahi nayi manzilon ke kahaan kho gaye?
Jo Humsafar the wo bewafa kyun ho gaye?

Dhoondhta hu unko aaj tak main dar-b-dar,
Pata nahi chalaa ab tak wo kahaan ko gaye?

Dil me bas unka khayaal neend aaye kyun mujhe?
Main jaagta hun raat bhar wo to honge so gaye॥!

Dil ka haal sunaayen kise kisko rulaa de fir se hum?
Aaye the ponchhne jo aansu sath mere wo ro gaye॥!!

--GOPAL

YE MAI HU-- GOPAL

LOVE MATCH


Hi5 Cursors