Showing posts with label दोस्त. Show all posts
Showing posts with label दोस्त. Show all posts

Wednesday, October 29, 2008

AASAAN NAHI HOTA


PYAR KARNA AASAAN NAHI HOTA,
HAR KOI DIL KI JAAN NAHI HOTA..
KISI KI MUTTHI ME HAI DUNIYA SARI,
KISI KE SIR PAR MAKAAN NAHI HOTA..
JARURI NAHI WO BHI SUN LE BAAT TERI,
HAR SHAKHS TO BEJUBAAN NAHI HOTA..
MERE LIYE TO TU HI HAI MERA JAHAAN,
AUR TU HAI KI MERA JAHAAN NAHI HOTA..
MERE HI GHAR SE HAI SHAYAD BERUKHI ISKO,
WARNA YE UJALA KAHAAN KAHAAN NAHI HOTA..
DOST MILTE TO HAIN RAAH ME BAHUT SE MAGAR,
CHALTA HU TANHA HI KOI KAARWAAN NAHI HOTA..
HAR EK KI JARURAT PAR SATH DIYA HUMNE MAGAR,
JARURAT PADTI HAI HUME TO KOI YAHAAN NAHI HOTA..
MUJHE US ZINDGI KI TALAASH HAI AYE MERE KHUDA,
JAHAA HAR GHADI KOI NAYA IMTEHAAN NAHI HOTA..
--GOPAL K.

Saturday, September 6, 2008

मत भूलो

दर्द में मुस्कुराना मत भूलो,
अपना गुज़रा ज़माना मत भूलो।

बना सको तो बना लो रिश्ते नए,
दोस्त कोई पुराना मत भूलो।

कर दो नाराज गर किसी को कभी,
फ़िर तुम उसको मनाना मत भूलो।

घूमते फिरते रहो तुम बाहर,
खाना पर घर का खाना मत भूलो।

भूल जाओ पुरानी बातों को,
दिल से दिल का लगाना मत भूलो।

प्यार से बच्चे सच कह देते हैं,
बनाते थे तुम भी बहाना मत भूलो।

तुम उठा चुके हो गम बिछड़ने का,
बिछडों को तुम मिलाना मत भूलो।

गोपाल के.

Wednesday, July 16, 2008

नही आते



Palke chamak uthi hain neend me hamari,
aankho ko abhi khwab chhupane nahi aate॥

ye na samajhna ki tumhe bhool gaye hum,
bas baat shuru karne ke bahaane nahi aate॥

Aa to jati hai Qadmo me saari duniya magar,
Laut kar kabhi fir se guzre jamaane nahi aate॥

Mehfil me sabhi sochte hain ki ise gam nahi koi,
Hum pee jate hain AshQ kisi ko dikhaane nahi aate॥

Jo Dil me hai mere wahi baat Jubaan par hogi,
Hume bayaan karne bas ye Fasaane nahi aate॥

Dekho na kitne log aaye hain meri Qabr par,
Aate hain sabhi DOST, kuch wo puraane nahi aate॥

--GOPAL K.

Saturday, June 21, 2008

DOST

















Dosto me bhi Anjaane bahut hain,
Din gujar gaye par afsaane bahut hain..
Shikwe-Gile kayi hain Tumse magar,
Naye to Kam hain Par Puraane bahut hain..

--Gopal K

Mere Hisse Me Tanhayi Kyu Hai??


Dil ki dhadkan se judaayi kyu hai?
Gam ki kaali ghata chhayi kyu hai?

Gam ki ye aag bujhaaun kaise?
Tune ye aag lagaayi kyu hai?

Mai to wapas chala tha ghar ki taraf,
Dil ne fir ummeed jagaayi kyu hai?

Hain kayi Dost mere fir bhi magar,
Mere hisse me Tanhayi kyu hai?


---GOPAL K

YE MAI HU-- GOPAL

LOVE MATCH


Hi5 Cursors