Showing posts with label गीत. Show all posts
Showing posts with label गीत. Show all posts
Tuesday, April 24, 2012
गीत-मेरे हुजुर
आंसुओं को धार दो मेरे हुजुर,
गम को अपने मार दो मेरे हुजुर.
***
काटो गम की रात तुम चुपचाप से,
मिलते रहना तुम भी अपने आपसे,
आयेंगे अपने अच्छे दिन भी जरुर.
आंसुओं को धार दो मेरे हुजुर..
***
राह मुश्किल हो मगर चलना तो है,
ख्वाब टूटेंगे मगर पलना तो है,
धुंध में लगती है मंजिल भी दूर.
आंसुओं को धार दो मेरे हुजुर..
***
क्यूँ भला मुझको मिली ऐसी सजा?
दिन थे बहारों के मगर आई खिजा,
कोई बतलाये मुझे मेरा कसूर.
आंसुओं को धार दो मेरे हुजुर..
--गोपाल के.
Monday, June 30, 2008
DHARTI-MAATA
Seene pe chale hain Khanjar itne,
Dhartee ka Seena Taar-Taar hai..
Dhartee Maa ke Zakhm ye saare,
Hum Beto ka Uphaar hai..
Chup rahegi kaise bhalaa?
Bhaar sahegi ye kab tak?
Apne hi Beto se aakhir,
Maar sahegi ye kab tak?
Din-O-Din Jansankhyaa ka,
Badhtaa ja raha Bhaar hai..
Seene pe chale hain Khanjar itne,
Dhartee ka Seena Taar-Taar hai..
Ped kat rahe hain saare,
Dhartee ho rahi hai Banjar..
Fir bhi ruka nahi chalna,
Dhartee ke Seene par Khanjar..
Chhute hi Patthar katt jaye,
Khanjar ki aisi Tej Dhaar hai..
Seene pe chale hain Khanjar itne,
Dhartee ka Seena Taar-Taar hai..
Lut rahi hai SareAam,
Izzat Paryavaran ki..
Aankhon se khud dekh lo,
Haalat waatavaran ki..
Soch samajh ke dekh le Maanav,
Ye sab to teri hi Haar hai..
Seene pe chale hain Khanjar itne,
Dhartee ka Seena Taar-Taar hai..
Dhartee Maa ke Zakhm ye saare,
Hum Beto ka Uphaar hai..
Chup rahegi kaise bhalaa?
Bhaar sahegi ye kab tak?
Apne hi Beto se aakhir,
Maar sahegi ye kab tak?
Din-O-Din Jansankhyaa ka,
Badhtaa ja raha Bhaar hai..
Seene pe chale hain Khanjar itne,
Dhartee ka Seena Taar-Taar hai..
Ped kat rahe hain saare,
Dhartee ho rahi hai Banjar..
Fir bhi ruka nahi chalna,
Dhartee ke Seene par Khanjar..
Chhute hi Patthar katt jaye,
Khanjar ki aisi Tej Dhaar hai..
Seene pe chale hain Khanjar itne,
Dhartee ka Seena Taar-Taar hai..
Lut rahi hai SareAam,
Izzat Paryavaran ki..
Aankhon se khud dekh lo,
Haalat waatavaran ki..
Soch samajh ke dekh le Maanav,
Ye sab to teri hi Haar hai..
Seene pe chale hain Khanjar itne,
Dhartee ka Seena Taar-Taar hai॥
--GOPAL
Sunday, June 22, 2008
Tere Pyar Ka Saaya

Tapte Suraj ki Garmi me
Mil jaye Taruwar ki Chhaya,
Aisi hi raahat deta hai
Muze Tere Pyar Ka Saaya॥
Mann Vichlit hota hai harpal
Tuze paane ki Abhilaasha me,
Dil ki Dhadkan hai badhee hui
ye hai tere Pyar ki Maaya॥
Aisi hi raahat deta hai
Muze Tere Pyar Ka Saaya॥
Jeevan me hai Nayi Umang,
Ragon me daud raha Tarang,
Jawaan-jawaan mausam hai ab,
Dekhi jo tere Roop ki Kaaya॥
Aisi hi raahat deta hai
Muze Tere Pyar Ka Saaya॥
Jeevan ki Raahen hain lambee,
Humsafar bina mai chaloon kaise?
Bas Dil me Chaahat hai yahee,
Tu ban ja meri Humsaaya॥
Aisi hi raahat deta hai
Muze Tere Pyar Ka Saaya॥
--Gopal K Das
Subscribe to:
Posts (Atom)