Monday, June 30, 2008

DHARTI-MAATA


Seene pe chale hain Khanjar itne,
Dhartee ka Seena Taar-Taar hai..
Dhartee Maa ke Zakhm ye saare,
Hum Beto ka Uphaar hai..

Chup rahegi kaise bhalaa?
Bhaar sahegi ye kab tak?
Apne hi Beto se aakhir,
Maar sahegi ye kab tak?
Din-O-Din Jansankhyaa ka,
Badhtaa ja raha Bhaar hai..
Seene pe chale hain Khanjar itne,
Dhartee ka Seena Taar-Taar hai..

Ped kat rahe hain saare,
Dhartee ho rahi hai Banjar..
Fir bhi ruka nahi chalna,
Dhartee ke Seene par Khanjar..
Chhute hi Patthar katt jaye,
Khanjar ki aisi Tej Dhaar hai..
Seene pe chale hain Khanjar itne,
Dhartee ka Seena Taar-Taar hai..

Lut rahi hai SareAam,
Izzat Paryavaran ki..
Aankhon se khud dekh lo,
Haalat waatavaran ki..
Soch samajh ke dekh le Maanav,
Ye sab to teri hi Haar hai..
Seene pe chale hain Khanjar itne,
Dhartee ka Seena Taar-Taar hai॥
--GOPAL

No comments:

YE MAI HU-- GOPAL

LOVE MATCH


Hi5 Cursors