Thursday, July 31, 2008

MERI BHI HAI


PYAR KE IS SAAGAR ME YAAROn,
IK KASHTI MERI BHI HAI,

WAFAA KI CHHOTI SI DUNIYA ME,
IK BASTI MERI BHI HAI..!!


EK CHHOTA SA SAPNA BHI HAI,
KI SABSE MAIn YE KEH SAKUn,

INN LAAKHOn LOGOn KI BHEED ME,
IK HASTI MERI BHI HAI..!!


BAADAL, BAARISH, TIP-TIP BOONDEin,
TAAJGI BHAR DETI HAI DIL ME,

KUCHH TO MAUSAM MAST HUA AUR,
THODI MASTI MERI BHI HAI..!!


DIL TERA BECHAIN HAI,
YE JAANTA HUn MAIn SANAM,

TERE DEEDAR KI KHATIR,
NIGAAHEin TARASTI MERI BHI HAI..!!


--GOPAL K.

JAAN-E-JANA

NA KABHI MILE NA DEKHA NA JANA,
FIR BHI BAN GAYI TUM MERI JAAN-E-JANA..!!

KHAYAALOn ME TERI TASVEER BANA KAR,
TUMKO TUMHI SE WO MERA CHURAANA..!!

SUBAH UTHKAR BAS TUMHE YAAD KARNA,
TERA NAAM LEKAR WO KHUD KO SULANA..!!

TERI BAATOn KO YAAD KARTE HUYE,
BINA BAAT KE HI MERA MUSKURANA..!!

JAB TAK NA BHEJO TUM KOI NAYA,
TAB TAK KHAT PADHNA TERA PURANA..!!

HAALAT HUYI HAI MERI JIS TARAH,
KYA TUM BHI HO WAISI ? MUJHE TUM BATANA..!!

MUJHE AB KISI KI BHI PARWAAH NAHI,
JO KEHTA HAI KEHTA RAHE YA ZAMAANA..!!

HAAn TERA ISHQ MERE SIR PE CHADHA HAI,
TU PAAGAL KAHE YA BOLE DEEWANA..!!


--GOPAL K.

ITTEFAQ


YE ZINDGI EK HASEEN ITTEFAQ HAI,
KOI BICHHAD GAYA TO KOI MIL GAYA..!!

KAHIn SATH REH KE BHI NA BAN SAKE,
KAHIn DEKHTE HI YE DIL GAYA..!!

JO NA BAAJUOn SE HIL SAKA,
WO IK NAZAR SE HI HIL GAYA..!!

YE CHEHRA UDAAS THA SUBAH SE,
DEKHA TUJHE TO YE KHIL GAYA..!!
--GOPAL K.

SAUGAAT


KABHI BICHHDE TO KABHI MULAQAT HAI,
KABHI RANGEEN SHAM, KABHI GAM KI RAAT HAI..!!

WAQT PAR SATH NAHI DETA YE WAQT BHI,
WAQT KI LAGTI BURI BAS YAHI BAAT HAI..!!

BAS ISI BAAT SE MAIn PARESHAAN HUN,
SAMAJHTAA NAHI KYOn WO JAZBAAT HAI..?

JO USNE DIYA HAI TO CHHEENEGA KAUN?
HAR SAANS KHUDA KI HI SAUGAAT HAI..!!

BURE KAAM SE AB TO KAR LE TU TAUBA,
WARNA IK DIN HONI TERI MAAT HAI..!!
--GOPAL K.

MAUT SE MAANGI THI HUMNE


MAUT SE MAANGI THI HUMNE ZINDGI KUCHH PAL KI,
WAQT BURA THA MERA JO, WO MUSKURA KE CHAL DI..!!


JO HONA HAI WO HOGA HI, IN LAMHOn KO TO JEE LO,
JINHE AAJ KI KHABAR NAHI, KHABAR KYA HOGI KAL KI ?


MAUT KI AAGOSH ME JAB SIR RAKH KE SOYE HUM,
YAAD BAHUT AAYI HUME TAB MAA KE AANCHAL KI..!!


SAPNE PURE KARNE KO, KAM PADD GAYI YE ZINDGI,
AHMIYAT PATAA CHALI AB HUME, JEEWAN KE HAR PAL KI..!!

--GOPAL K.

AITBAAR NAHI HOTA


TUJHE MERE PYAR PAR KYUn AITBAAR NAHI HOTA ?
HAR WAQT TO MOHABBAT KA IZHAAR NAHI HOTA..!!

MOHABBAT DIL ME HAI, NAZROn SE ISE DEKHO KABHI,
SIRF JUBAAn SE HI KAHNE SE TO, ISHQ KA IQRAAR NAHI HOTA..!!

KOI AUR TUMHARE LIYE PURE DIN INTEZAR KARE TO KUCH NAHI ?
AUR TUMSE EK PAL KO BHI MERA INTEZAAR NAHI HOTA..??

KUCHH MAJBURIYAAn BHI HOTI HAIn, HAR IK INSAAN KI,
AISA TO NAHI HAI KI MAIn BHI BEQARAAR NAHI HOTA..!!

KOI ROOTH GAYA HO GAR TO , MANAANA BHI PADTA HAI USE,
SIRF ROOTH KAR BAITH JANE SE HI TO PYAR NAHI HOTA..!!

--GOPAL K.

Tuesday, July 29, 2008

KISSE


HUME NA YAAD DILAO UNKI BEWAFAYI KE KISSE,
HUMNE BAHUT MUSHKIL SE UNKO BHULAYA HAI..!

ZARA AAHISTA BOLO TUM CHILLA KYOn RAHE HO?
ABHI-ABHI TO HUMNE APNE DARD KO SULAYA HAI!!

ROOTH GAYI THI SHAYAD HUMSE, MILNE NAHI AATI KABHI,
HUMNE FIR SE KHUSHIYOn KO, APNE GHAR PE BULAYA HAI!

EK KO MANAATA HU TO, DUSRAA ROOTH JATA HAI FIR SE,
SAB MAAN GAYE TO WAQT KO DEKHO, KAISE MUH FULAYA HAI!!

--GOPAL K.

MARNE SE PAHLE

MARNE SE PAHLE KARNE KAI KAAM BAAKI HAIn,
KAATNE KO ABHI TANHA KAI SHAAM BAAKI HAIn॥!


TUM TO PAHUCHNE KO HO MANZIL KE PAAS AB TO,
SAFAR HAI LAMBA MERA, RASTA TAMAAM BAAKI HAI॥!


MAA-BAAP, BHAI-BAHEN, KITNI HASRAT PAALE BAITHE HAIn,
IN SABKE LIYE KARNA ABHI MUJHE INTEZAAM BAAKI HAI॥!


MERE PYAR KE BADLE JO TUM MUJHPAR THE LAGA GAYE,
MAATHE SE HATAANA ABHI WO SARE ILZAAM BAAKI HAI॥!


DEKHE THE KITNE SAPNE, HASRATEin THI KITNI DIL MEin,
REH GAYA HAI DENA TUJHE IK PAIGAAM BAAKI HAI॥!


PEEKAR JISE BHULA DU, TERE DIYE HUYE GAM SAARE,
AB HAATHOn SE PEENA TERE WO JAAM BAAKI HAI॥!!



--GOPAL K.

HISAAB

TUJHE BHULATE-BHULATE WAQT NA LAGA,
WAQT LAG GAYA BAS ZAKHM BHARNE ME॥!

HISAAB LAGA RAHA HU AB, WAQT KITNA HUA JAAYA,
HUME ROOTHNE MANAANE ME, AAPAS ME JHAGADNE ME॥!

JO MAUJOn KO CHEER KAR PAAR PAHUCHTE THE,
DARTE HAIn AB WO HI, SAHIL PAR UTARNE ME॥!!

LIKHNE ME IK GAZAL PURA DIN GUJAR GAYA,
AUR TUMHE WAQT LAGA HI KITNA ISKO PADHNE ME॥?

--GOPAL K.

JAAYA= BARBAAD
MAUJOn= PANI KI LEHEROn
SAHIL= KINAARA

BEKHABAR

KHABAR HI NA LAGI HUME US BEKHABAR KI,
TALAASH THI HUME SAFAR ME JIS HUMSAFAR KI॥!

SAFAR ME KUCCH AISE BHI DOST MILE HAIn JINHE,
DUNIYA KI KHABAR HAI SARI, PAR KHABAR NAHI GHAR KI॥!

KHUD TO WO BADHTE NAHI, ROKTE HAIn UNHE,
AAGE BADHNE KI PEHEL, KISI NE AGAR KI॥!

AB TAK YAKEEN NA KAR SAKA MAIn USKE JANE KA,
NA USNE ALVIDA KAHA, NA HI KOI KHABAR KI॥!!

--GOPAL K.

Monday, July 28, 2008

NAAM


NAAM AGAR PUCHHE JO KOI MERA,
TUM APNA NAAM BATA DENA,
BAS PYAR HI PYAR MAI KARTA HU,
YE MERA KAAM BATA DENA॥
HAI KISKA HAATH MERE SIR PE TO,
ALLAH YA RAAM BATA DENA,
MILKAR RAHO AAPAS ME SABHI,
YE MERA PAIGAAM BATA DENA॥
--GOPAL

SAZAA


SAZAA KIS BAAT KI AAKHIR MILI HUMKO?
KYUn TUM IS TARAH HUMSE JUDA HO GAYE?
ITNI MINNATOn KE BAAD BHI NA AAO NAZAR,
AISA LAGTA HAI TUM JAISE KHUDA HO GAYE??
--GOPAL क.

Sunday, July 27, 2008

इंतज़ार एक नए विस्फोट का


क्या होगा?
इस विस्फोट के बाद?
सन्नाटा..
फिर से इंतजार
एक नए विस्फोट का..
मुझे भी इन्तेज़ार है..
बहुत ही बेसब्री से
उस विस्फोट का..
जब हर घर से निकलेंगे
भगत सिंह,
राजगुरु और
सुखदेव
तब
हर भगत सिंह की चाहत
रखने वाला

ये नहीं सोचेगा कि
भगत सिंह फिर से पैदा तो हो,
मगर हमारे नहीं
पडोसी के घर मे..
जब हर माँ
अपनी कोख में
एक भगत सिंह का सपना देखेगी
हर बाप
बेटे को भेजेगा
शहीद होने के लिए
मुस्कुराकर,
विजयी तिलक और
गले लगा कर..
और हर भारतवासी
समझेगा अपने दायित्व को
तब
तब शायद इन आतंकियों के हौसले
हमारे आगे पस्त पड़ जाएँ
तब
तब शायद सारे भेड़
एक साथ मिल कर
इस भेडिये से लड़ जाएँ
तब
एक अकेला चना
भाड़ भले ही ना फोड़ पाए
पार शायद हम-में से एक
सिर्फ एक
माचिस की एक ही तीली
आतंक को ख़ाक कर दे..
और
हम सबकी बुजदिली को
जला कर राख कर दे॥!!




--गोपाल के.

BEKHABAR

MERA AKS AAJ BHI MUJHSE HAI BEKHABAR,
MUJHKO PATA CHALE TO ISKO BHI DU KHABAR॥!

RAAH TO DIKHTI NAHI, MANZIL HAI GUMSHUDA,
CHAL RAHA HU FIR BHI, ANDHAA HAI YE SAFAR॥!

YE ZINDGI BIN TERE, KITNI BADAL GAYI HAI,
EK NAZAR HUM PAR BHI DAAL, TU DEKH TO IDHAR॥!

YUn HAR ROJ MAUT KO, IS TARAH TO NA JEETA,
MAR JATA EK BAAR HI, GAR DE JATE TUM ZAHAR॥!!

--GOPAL K.

Saturday, July 19, 2008

Majboor na hote


Agar hum bhi teri tarah Majboor na hote,

Khuda Qasam hum bhi Tumse Door na hote..


Wo to tere ISHQ me hum Badnaam ho gaye,

Warna tere shahar me MashHoor na hote..


Gar Khwaab dekhne ki muze Aadat hi na hoti,

To ye Khwaab mere dil ke Choor-Choor na hote..


Patthar Taraash kar jab tumhe Heera sa kar diya,

Paakar Be-intehaa Mohabbat tum Magroor na hote..


Anjaam Mere ISHQ ka, ye to hargiz nahi hota?

Tum sabki aankhon ke NOOR, hum Be-Noor na hote..!!


--GOPAL K.

Friday, July 18, 2008

BARSAAT HO GAYI


AAJ MAUSAM NE RUKH BADLA HAI DEKHTE-DEKHTE,
WO AAYE GHAR HUMARE AUR BARSAAT HO GAYI.

EK PAL BHI RUKNE SE WO INKAAR KARTE THE,
AAJ MERE SATH UNKI PURI RAAT HO GAYI.

TIP-TIP BARASTI BOONDO KO ZAROKHE SE DEKHTE,
NAZRE MILI HUM DONO KI AUR BAAT HO GAYI.

IK RUKH BADALNE BHAR SE BADAL GAYI DUNIYA MERI,
UNKA IQRAR ISS MAUSAM KI SAUGAAT HO GAYI.

-GOPAL K.

AITBAAR


UMAR KE HAR DARAKHT PE TERA INTEZAAR KIYA THA,
MAINE INTEHA KI HADD TAK TUJHSE PYAR KIYA THA॥
AAKHIR KYON TOD DALA TUNE MERA DIL ZAALIM?
JAHAAN ME IK TUJHPAR HI TO MAINE AITBAAR KIYA THA॥
--GOPAL K.

YAAD HAI

WO DIN AAJ BHI YAAD HAI MUJHE,
JAB TERI ZULFOn KA SAAYA LEHRATA THA॥

SILWATEin MIT JATI THI MATHE KI MERI,
HATH TERA JAB MERE BAALOn PE AATA THA॥

TERI GODI ME RAKHE-RAKHE WO SIR APNA,
MERA WAQT KIS TARAH GUZAR JATA THA॥

YAAD HAI AB BHI WO HAR LAMHA MUJHE,
JAB MAI HASTA THA, JAB MAI MUSKURATA THA॥

--GOPAL K.

Wednesday, July 16, 2008

नही आते



Palke chamak uthi hain neend me hamari,
aankho ko abhi khwab chhupane nahi aate॥

ye na samajhna ki tumhe bhool gaye hum,
bas baat shuru karne ke bahaane nahi aate॥

Aa to jati hai Qadmo me saari duniya magar,
Laut kar kabhi fir se guzre jamaane nahi aate॥

Mehfil me sabhi sochte hain ki ise gam nahi koi,
Hum pee jate hain AshQ kisi ko dikhaane nahi aate॥

Jo Dil me hai mere wahi baat Jubaan par hogi,
Hume bayaan karne bas ye Fasaane nahi aate॥

Dekho na kitne log aaye hain meri Qabr par,
Aate hain sabhi DOST, kuch wo puraane nahi aate॥

--GOPAL K.

Tuesday, July 15, 2008

AADAT


DIL ME ARMAAN TO BAHUT THE MAGAR।

BAN SAKE NA HUM TERE HUMSAFAR॥


TUMHE AADAT THI MAHLOn ME RAHNE KI,

ACHHA KYUn LAGTA MERA YE CHHOTA SA GHAR॥??


--GOPAL K.

INTEZAAR



AB TERE INTEZAAR KI AADAT SI HO GAYI HAI,
LAGTA HAI MUJHE TERI CHAAHAT SI HO GAYI HAI॥
DIL KE MANDIR ME AB TO BITHAA LIYA TUJHKO,

TERI CHAAHAT MERE LIYE IBAADAT SI HO GAYI HAI॥!!


--GOPAL K

Saturday, July 12, 2008

कहाँ खो गए?


वो राही नयी मंजिलों के,
कहाँ खो गए?
जो हमसफ़र थे,
वो बेवफा क्यों हो गए?

ढूंढता हूँ उनको,
आज तक मैं दर-ब-दर,
पता नहीं चला अब तक,
वो कहाँ को गए?

दिल में बस उनका ख्याल,
नींद आये क्यों मुझे?
मैं जागता हूँ रात भर,
वो तो होंगे सो गए॥!

दिल का हाल सुनाएँ किसे,
किसको रुला दें फिर से हम?
आये थे पोंछने जो आंसू,
साथ मेरे वो रो गए॥!!

--गोपाल के।
.
Wo Raahi nayi manzilon ke kahaan kho gaye?
Jo Humsafar the wo bewafa kyun ho gaye?

Dhoondhta hu unko aaj tak main dar-b-dar,
Pata nahi chalaa ab tak wo kahaan ko gaye?

Dil me bas unka khayaal neend aaye kyun mujhe?
Main jaagta hun raat bhar wo to honge so gaye॥!

Dil ka haal sunaayen kise kisko rulaa de fir se hum?
Aaye the ponchhne jo aansu sath mere wo ro gaye॥!!

--GOPAL

Thursday, July 10, 2008

अस्तित्व

सागर से मिलने को बहती
एक नदी से मैंने पुछा॥
तू ये बता--
अपना अस्तित्व खोकर
तू सागर में विलीन हो जाती है,
आखिर ऐसा करके,
तू क्या पाती है?
मचल कर
थोडा इठलाते हुए
नदी ने कहा मुस्कुराकर मुझे॥
प्यार में अपना अस्तित्व
बचता ही कहाँ है?
हम तो रंग जाते हैं
उसी रंग में,
जिस रंग में वो
रंगा रहता है॥
खोकर अपना रंग,
अपना कर उसका रंग-ढंग॥
हम भी उसी का
एक रूप हो जाते हैं॥
तभी तो उसे पा पाते हैं॥
मै भी सागर में विलीन होकर
उसमे खो जाउंगी,
सागर में समाकर
सदा के लिए
मैं सागर की हो जाउंगी॥!!

--गोपाल के

Wednesday, July 2, 2008

दर्द

दर्द तब तक ही दर्द देता है..
जब तक हम उसे
पराया समझते हैं..
जब उसे सहते सहते..
उसके आदी हो जाते हैं
तो वही दर्द हमे
प्यारा भी लगने लगता है..
क्यूंकि..
वो दर्द बेवफा तो नहीं होता..
खुशियों की तरह..
जो जरा जरा सी बात पर
रूठ जाती है..
चली जाती है
तन्हा छोड़ कर..
बिलकुल तन्हा..
जहां अपनी परछाई भी
साथ न दे..
ऐसे अन्धकार में
धकेल कर..
कब तक?
आखिर कब तक भागूं ?
इन खुशियों के पीछे..??
जो हमे देख कर भी रहती है..
अपनी आँखें मीचे..
इन खुशियों से अच्छी तो
ये दर्द हैं..
जो बिना बुलाये आ जाती हैं..
वो भी
अपने पुरे परिवार के साथ..
निभाने को साथ
दिन हो या रात..
जो कभी बेवफाई तो नहीं करती
दिल में आबाद रहती है..
शायद जिंदगी भी यही कहती है..
कि सुख दुःख तो
जीवन का अंग है..
सबके अपने-अपने
जीने का ढंग है..
कहीं अँधेरा कहीं उजाला
यही तो
जिंदगी का रंग है॥!!


--गोपाल के.

YE MAI HU-- GOPAL

LOVE MATCH


Hi5 Cursors