Umar badhti jati kam hoti Zindgi,
Maut ke Ehsaas ko kyu khoti Zindgi?
Daaman me lagi Aag Bujhegi kis tarah?
Ab bhi Bekhabar si hai Soti Zindgi..
Hastee thi kabhi ye auro ko dekhkar,
Haalat pe ab apni Khud Rotee Zindgi..
Chaha nahi tha ban-na par Bojh ban gaya,
Mai hu Zinda Laash mujhe Dhotee Zindgi..!!
GOPAL K.
Maut ke Ehsaas ko kyu khoti Zindgi?
Daaman me lagi Aag Bujhegi kis tarah?
Ab bhi Bekhabar si hai Soti Zindgi..
Hastee thi kabhi ye auro ko dekhkar,
Haalat pe ab apni Khud Rotee Zindgi..
Chaha nahi tha ban-na par Bojh ban gaya,
Mai hu Zinda Laash mujhe Dhotee Zindgi..!!
GOPAL K.
3 comments:
koi shak nahi,
bahut hi achha likha hai,
lekhni aur aage badhe........
Bahut hi badia.
This is called shayari Dil se...
Mazaa aa gaya Gopal !!
Hume bhi sikhaao yaar, kuchh aisi shayar, bewafai par shayari karte karte bor sa hone laga hoon...
Boss, you are a real poet....
Keep up the spirit !!
SHUKRIYA.. KOSHISH KARUNGA KI AUR BEHTAR LIKH SAKU..!
Post a Comment