वो राही नयी मंजिलों के,
कहाँ खो गए?
जो हमसफ़र थे,
वो बेवफा क्यों हो गए?
ढूंढता हूँ उनको,
आज तक मैं दर-ब-दर,
पता नहीं चला अब तक,
वो कहाँ को गए?
दिल में बस उनका ख्याल,
नींद आये क्यों मुझे?
मैं जागता हूँ रात भर,
वो तो होंगे सो गए॥!
दिल का हाल सुनाएँ किसे,
किसको रुला दें फिर से हम?
आये थे पोंछने जो आंसू,
साथ मेरे वो रो गए॥!!
--गोपाल के।
।
।
।
.
Wo Raahi nayi manzilon ke kahaan kho gaye?
Jo Humsafar the wo bewafa kyun ho gaye?
Dhoondhta hu unko aaj tak main dar-b-dar,
Pata nahi chalaa ab tak wo kahaan ko gaye?
Dil me bas unka khayaal neend aaye kyun mujhe?
Main jaagta hun raat bhar wo to honge so gaye॥!
Dil ka haal sunaayen kise kisko rulaa de fir se hum?
Aaye the ponchhne jo aansu sath mere wo ro gaye॥!!
--GOPAL
2 comments:
kya baat hai Gopal !!
yaar mujhe poems likhni zara kam aati hain...
ye bhi seekhna hai tumhi se...
THANKS YOGI,
PAR YAAR MAI KHUD KO ISS QABIL NAHI MAANTA KI KISI KO SIKHA SAKU, KYUN KI ABHI TAK KHUD MAI BHI LIKHNA SEEKH HI RAHA HU..!!
FIR BHI JINTNA MUJHE AATA HAI UTNA TO JARUR BATA DUNGA..!!
SHUKRIYA..!!
Post a Comment