MARNE SE PAHLE KARNE KAI KAAM BAAKI HAIn,
KAATNE KO ABHI TANHA KAI SHAAM BAAKI HAIn॥!
TUM TO PAHUCHNE KO HO MANZIL KE PAAS AB TO,
SAFAR HAI LAMBA MERA, RASTA TAMAAM BAAKI HAI॥!
MAA-BAAP, BHAI-BAHEN, KITNI HASRAT PAALE BAITHE HAIn,
IN SABKE LIYE KARNA ABHI MUJHE INTEZAAM BAAKI HAI॥!
MERE PYAR KE BADLE JO TUM MUJHPAR THE LAGA GAYE,
MAATHE SE HATAANA ABHI WO SARE ILZAAM BAAKI HAI॥!
DEKHE THE KITNE SAPNE, HASRATEin THI KITNI DIL MEin,
REH GAYA HAI DENA TUJHE IK PAIGAAM BAAKI HAI॥!
PEEKAR JISE BHULA DU, TERE DIYE HUYE GAM SAARE,
AB HAATHOn SE PEENA TERE WO JAAM BAAKI HAI॥!!
--GOPAL K.
9 comments:
main kya prashansa me likhun,itne sahaj dhang se har baat kahi gai hai ki dil ki gahraaiyon me sama jaati hai.....
gr8
Bahut Bahut badhia hai Gopal !!
Even mujhe kuchh kehte hue bhi lagta hai, ke kin shabdo me tareef karoon....
TOOOOOOOOOOOO GOOOOOOOOOOOOOOD
Well done n keep it up !!
AAP SAB KE HI HAUSLA AFZAAYI SE AUR ACHHA LIKHNE KI PRERNA MILTI HAI..
SHUKRIYA DI..
& SHUKRIAY YOGI
main shabdon mai bayan nahi kar sakta,jo kuch bhi tum likhte ho aur jo kuch bhi tumne abhi tak likha hai.....wakai kabile tarif hai...jis khubsurti se shadbon ko saja kar kavita ka roop dete ho wakai prashansa k yogya hai........
aage bas yahi kahoonga aise hi likhte raho....humari shubkamnaye tumhare sath hai
Shukriya Nitin ji..
aapne to itni taarif kar di ki kya kahe?
shukriya..!
nice yaar lazbaab yaar itni pyaar se aapne baat kehe di ki dil ko chu gayi yaar realy lazbaab
mere paas aapki taarif karne ke liye alfaaz nahi hai
SHUKRIYA ABHI JI,
TAHE DIL SE SHUKRIYA..!!
इन गज़लों को खुबसूरत मंजिल मिले,
हर दिल में इसकी पहचान हो-
हर जुबां पर यह ग़ज़ल मुखरित हो....
शुक्रिया अम्मा जी,
आपका आशीर्वाद है तो मै भी पूरी कोशिश करूँगा..!!
Post a Comment