Agar hum bhi teri tarah Majboor na hote,
Khuda Qasam hum bhi Tumse Door na hote..
Wo to tere ISHQ me hum Badnaam ho gaye,
Warna tere shahar me MashHoor na hote..
Gar Khwaab dekhne ki muze Aadat hi na hoti,
To ye Khwaab mere dil ke Choor-Choor na hote..
Patthar Taraash kar jab tumhe Heera sa kar diya,
Paakar Be-intehaa Mohabbat tum Magroor na hote..
Anjaam Mere ISHQ ka, ye to hargiz nahi hota?
Tum sabki aankhon ke NOOR, hum Be-Noor na hote..!!
--GOPAL K.
5 comments:
Bahut khoob Gopal !!
Tumhaari poems to bahut mast hoti hain...
Too good dear !!
Alfaaz kam lag rahe hain mere ko tareef ke liye....
Good work, keep it up !!
SHUKRIYA DOST, AAP DOSTO KA IS TARAH SE HAUSLA BADHANA HI AUR LIKHNE KI PRERNA DETA HAI, KI AUR LIKHU, AUR BEHTAR LIKHU..
बहुत बढिया रचना है।बधाई स्वीकारे।
SHUKRIYA PARAMJIT JI, AUR YOGI JI AAPKA BHI SHUKRIYA..!!
Post a Comment