Wednesday, October 29, 2008

AASAAN NAHI HOTA


PYAR KARNA AASAAN NAHI HOTA,
HAR KOI DIL KI JAAN NAHI HOTA..
KISI KI MUTTHI ME HAI DUNIYA SARI,
KISI KE SIR PAR MAKAAN NAHI HOTA..
JARURI NAHI WO BHI SUN LE BAAT TERI,
HAR SHAKHS TO BEJUBAAN NAHI HOTA..
MERE LIYE TO TU HI HAI MERA JAHAAN,
AUR TU HAI KI MERA JAHAAN NAHI HOTA..
MERE HI GHAR SE HAI SHAYAD BERUKHI ISKO,
WARNA YE UJALA KAHAAN KAHAAN NAHI HOTA..
DOST MILTE TO HAIN RAAH ME BAHUT SE MAGAR,
CHALTA HU TANHA HI KOI KAARWAAN NAHI HOTA..
HAR EK KI JARURAT PAR SATH DIYA HUMNE MAGAR,
JARURAT PADTI HAI HUME TO KOI YAHAAN NAHI HOTA..
MUJHE US ZINDGI KI TALAASH HAI AYE MERE KHUDA,
JAHAA HAR GHADI KOI NAYA IMTEHAAN NAHI HOTA..
--GOPAL K.

1 comment:

Yogi said...

it deserves a standing ovation !!

I don't have words to express, how much I liked this poem...

Shukriya...

Maine bhi likhi hain 1-2 poems...shayad jald hi post karoonga blog par...keep visiting my blog too...

YE MAI HU-- GOPAL

LOVE MATCH


Hi5 Cursors